m.Stock by Mirae AssetOpen an Account
m.Stock by Mirae Asset

How to Track Option Chain on mStock

16 August 2024 99
Share

With m.Stock, never pause your trading experience. In this video, we will show you how to view Option Chain on m.Stock app and web.

Follow the steps shown in the video and start trading in options with ease.

Transcript

Aaj ke video me hum sikhenge how to view an option chain on m.Stock?

Par usse pehle samajte hai ki option chain hota kya hai?

Simple shabdon mein option chain is a comprehensive list of all option contracts jo ek specific security ke under ek specific time pe available ho.

Matlab ek hi list se humein strike price of the option, listed puts and calls, expiration details aur volume, sab pata chal jata hai.

And based on all this information, hum decide kar sakte hain ki humein kaise apne trades place karne hain.

And the most important thing is trade karne se pehle Option chain access karne ke liye ab humein kahin aur dekhne ki zarurat nahi hai.

Hum mStock ke marketplace se hi Option Chain ko easily view kar sakte hain, aur stocks ya contracts ki performance possibilities ko dekh sakte hain.

Toh chaliye, dekhte hai ki mStock app par Option Chain ko aap kaise view kar sakte hain.

mStock app pe kijiye login, aur upar diye gaye searchbox mein search kijiye FNO segments mein available koi bhi scrip ya contract.

Agar aapne Web login kiya hai, toh in steps ko follow karein.

  • Watchlist pe jayein

  • Searchbox pe koi bhi Contract search karein

  • Yahan Quote pe click karein

  • Aur bas niche scroll karke Option Chain ko view kar le

Scrip ki details aapko kuch iss taraha se dikhayi denge.

Details pe click karke, view “option chain” par tap karein.

Aapko iss top banner par scrip ya contract ka naam dikhega, saath hi display hoga iss scrip ka Last Traded Price, Change in Traded Price aur calculated change percentage.

Aur yeh raha aapka option chain.

Iss dropdown ki madad se, select karein expiry dates of index contracts based on weeks or months.

Option chain ka data aap ke selected date range expiry ke basis par display kiya jayega.

Yahaan aapko dikhega LTP (Last Traded Price), Open Interest aur Open Interest Change (after a pause) dono taraf “Calls and Puts” mein.

Aage badhne se phele, jaldi se samajhte hain ki Call and Put options hote kya hain?

Aksar teji ya bullish market mein traders Call option khareedna pasand karte hain aur mandi ya bearish market mein Put option, jahaan buyer ko underlying asset ko bhavishya mein ek fixed price par khareedne ka right milta hai bina kisi obligation ke.

mStock app par, aap ek baar mein 10 OTM aur 10 ITM options contracts dekh sakte hain

But ITM, OTM and ATM hota kya hain?

Call Option ‘In the Money (ITM)’ tab hota hai jab option ki strike price, underlying asset ki current market price se kamm hoti hain. Aisi stithi mein, Option holder call option exercise kar ke underlying stock ko uske market price se kamm mein khareed sakta hai

Iske viprit, Put Option ‘In the Money (ITM)’ tab hota hai jab uski strike price, underlying asset ke current market price se zyaada hoti hain. Aisa hone par, Option holder stock ko current market price se zyaada mein bech sakta hain.

Call Option ‘Out of the Money (OTM)’ tab hota hai jab Option ki strike price, uske underlying asset ke current market price se zyaada hota hai. Aise hi, Put Option ‘Out of the Money’ tab hota hai jab Option ki strike price, uske underlying asset ke current market price se kamm hota hai.

Jab Options contract ki strike price uske underlying asset ke current market price jitni hoti hai, toh aise contracts ko ‘At the Money’ Options contracts kehte hain.ATM contract blue color mein highlighted hota hai, aur yeh Last Trading Price ke hisaab se trading hours ke dauraan change hote rehta hai.

Agar open interest badh raha hai toh iska matlab hai ki naye paise market mein aa rahe hain. As a result present trend (up, down, ya sideways) continue hoga.

Agar open interest kam ho raha hai toh yeh batata hai ki market liquid ho rahi hai aur prevailing price ka trend khatam ho raha hai.

Strike Price par click karke aap dekh sakte hain uski LTP (Last Traded Price) aur LTP change percentage aur wahan se Aap seedha buy ya sell kar sakte hain.

Aur yahaan diye gaye icons pe tap karke aap scrip ya contract ko watchlist me add kar sakte hain ya phir uske liye price alert bhi set kar sakte hain.

Aapko bataa dein ki “Option Chain” ka feature sirf FNO segment ke contracts, Indices for Equity, and Currency segment ke liye hi available hai.

Toh Dekha aapne, kitna asaan hai mStock par option chain view karna aur samajhna. Aaj hi download karein aur login karein.


 

Related Videos